It is all about fun, pranks, enjoy, entertainment, friends and everything that one does in College. It is a part of life that can’t be described in words…

Raah dekhi thi iss din ki kabse,
Aage ke sapne saja rakhe the naa jane kab se.
Bade utavle thhe yahaan se jaane ko,
Zindagi ka agla padaav paane ko.
Par naa jane kyon Dil mein aaj kuch khayal aata hai,
Waqt ko rokne ka jee chahta hai.
Jin baton ko lekar rote thhe aaj unn par hansi aati hai,
Na jaane kyon aaj unn palon ki yaad bahut aati hai .
Kaha karte thhe Badi mushkil se 4 saal seh gaya,
Par aaj kyon lagta hai ki kuch peeche reh gaya.
Na bhoolne wali kuch yaadein reh gayi,
Yaadien jo ab jeene ka sahara ban gayi.
Meri taang ab kaun kheencha karega,
Sirf mera sir khane ko kaun mera peecha karega.
Jahaan 2000 ka hisaab nahin
Wahan 2 rupay ke liye kaun ladega,
Kaun raat bhar saath jag kar padega,
Kaun mera samaan mujse pooche bina lejayega,
Kaun mere naye naye naam banayega.
Mein ab bina matlab ke kis se ladoonga,
Bina topic ke kisse faaltu mein baat karoonga,
Kaun fail hone par dilasa dilayega,
Kaun galti se number aane par gaaliyaan sunayega.
Tapri par Chai kis ke saath piyoonga ,
Wo haseen pal ab kis ke saath jiyoonga,
Aise dost kahaan milenge jo khai mein bhi dhakka de aayein,
Par fir tumhein bachane khud bhi kood jayein.
Mere gaano se pareshaan kaun hoga,
Kabhi muje kisi ladki se baat karte dekh hairaan kaun hoga,
Kaun kahega saale tere joke pe hansi nahin aai,
Kaun peeche se bula ke kahega aage dekh bhai.
Movies mein kiske saath dekhhunga,
Kis ke saath boring lectures jheloonga ,
Bina darre sachi rai dene ki himmat kaun karega.
Stage par ab kis ke saath jaoonga,
Juniors ko faltu ke lectures kaise sunaonga
Achanak bin matlab ke kisi ko bhi
Dekh kar paglon ki tarah hansna,
Na jaane ye fir kab hoga, keh do doston dobaara sab hoga
Doston ke liye professor se kab lad payenge,
Kya yeh din phir se aa payenge,
Raat ko 2 baje order lene kaun jayega ,
Tez gaadi chalane ki shart kaun lagayega.
Kaun muje mere kabiliyat par bharosa dilayega,
Aur jyada hawa mein udne par zameen pe layega,
Meri khushi mein sach mein khush kaun hoga,
Mere gam mein mujh se jyada dukhi kaun hoga
Keh Do Doston Ye Dobaara Kab Hoga…
Meri ye kavita kaun padega, kaun isse sach mein samjhega
Bahut kuch likhna abhi baaki hai, kuch saath shayad baaki hai
Bas ek baat se dar lagta hai doston,
Hum anjnabi na ban jayein doston
Zindagi ke rangon mein dosti ka rang feeka na pad jaye
Kahin aisa na ho doosre rishton
Ki bheed mein dosti dum tod jayye
Zindagi mein milne ki fariyaad karte rehna
Agar na mil sakein toh kam se kam yaad karte rehna
Chahe jitna hanslo aaj mujh par mein bura nahi manooga
Iss hansi ko apne dil mein basa loonga
Aur jab yaad aayegi tumhari
Yahi hansi lekar thoda muskura loonga…
– Written By Madhur